Koi kahta hai...tu paharon se nikalti haiii..
koi kahta hai...tu samundar pe milti haiii...
Mere hone ka ahsaas hota hai mujhko... tu jab chhukar gujarti haiii
Suna hai mere mohalleh mein, tera roj ka aana jana haii..
tera thikana bhi hai koi.. ya tu bhi meri tarah begana haii..
Fahrisht lambi hai..shikayaton ki, jo aaj tujhe sunana haii..
Suna hai mere mohalleh me tera roj ka aana jana haii..
Bash ye na kahna aaj nahi , kal nahi ya kisi aur se milne jana hai..
Bahane hai ye sare aamlogo ke...insab se tu toh anjana haii..
suna hai mere mohalleh me tera roj ka aana jana haii..
Phir kyu aaj oosh ki chadar se , khud ko chhupaya haii..
Kya tujhe bhi aaj khud pe , guma ho aaya haiii..
suna hai mere mohalleh me tera roj ka aana jana haii...

Super
ReplyDelete